yahi buniyaad-e-nazm-e-alam hai
yahī buniyād-e-nazm-e-ālam hai
har masarrat kī intihā ġham hai
ye milā arz-e-mudda.ā kā javāb
aaj un kā mizāj barham hai
ab na dast-e-karam na vo dāman
dil pareshāñ hai aañkh pur-nam hai
ai ajal manzil-e-hayāt batā
log kahte the fāsla kam hai
kis qadar ḳhush-nasīb huuñ 'māhir'
mere dāman meñ daulat-e-ġham hai
yahi buniyaad-e-nazm-e-alam hai
har masarrat ki intiha gham hai
ye mila arz-e-muddaa ka jawab
aaj un ka mizaj barham hai
ab na dast-e-karam na wo daman
dil pareshan hai aankh pur-nam hai
ai ajal manzil-e-hayat bata
log kahte the fasla kam hai
kis qadar KHush-nasib hun 'mahir'
mere daman mein daulat-e-gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.