yahi faqat meri zindagi hai
yahī faqat merī zindagī hai
tirī itā.at hī bandagī hai
vo aaj sair-e-chaman ko aa.e
guloñ ke chehroñ pe tāzgī hai
ye un kī zarra-navāziyāñ haiñ
jo dil kī bastī meñ tīrgī hai
jo maiñ ne pūchhā vafā kā matlab
vo hañs ke bole divāngī hai
ye un kā dast-e-karam hai mujh par
jo baat ab tak banī huī hai
ye zaḳhm-e-dil kī davā hai yāroñ
'sabā' kī jo sher-o-shā.erī hai
yahi faqat meri zindagi hai
teri itaat hi bandagi hai
wo aaj sair-e-chaman ko aae
gulon ke chehron pe tazgi hai
ye un ki zarra-nawaziyan hain
jo dil ki basti mein tirgi hai
jo main ne puchha wafa ka matlab
wo hans ke bole diwangi hai
ye un ka dast-e-karam hai mujh par
jo baat ab tak bani hui hai
ye zaKHm-e-dil ki dawa hai yaron
'saba' ki jo sher-o-shaeri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.