yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do
yahī hai ishq ki sar do magar duhā.ī na do
vafūr-e-jazb se TuuTū magar sunā.ī na do
zamīñ se ek ta.alluq hai nā-guzīr magar
jo ho sake to ise rañg-e-āshnā.ī na do
ye daur vo hai ki baiThe raho charāġh-tale
sabhī ko bazm meñ dekho magar dikhā.ī na do
shahanshahī bhī jo dil ke evaz mile to na lo
farāz-e-koh ke badle bhī ye tarā.ī na do
javāb-e-tohmat-e-ahl-e-zamāna meñ 'ḳhurshīd'
yahī bahut hai ki lab sī rakho safā.ī na do
yahi hai ishq ki sar do magar duhai na do
wafur-e-jazb se TuTu magar sunai na do
zamin se ek talluq hai na-guzir magar
jo ho sake to ise rang-e-ashnai na do
ye daur wo hai ki baiThe raho charagh-tale
sabhi ko bazm mein dekho magar dikhai na do
shahanshahi bhi jo dil ke ewaz mile to na lo
faraaz-e-koh ke badle bhi ye tarai na do
jawab-e-tohmat-e-ahl-e-zamana mein 'KHurshid'
yahi bahut hai ki lab si rakho safai na do
- Book : yakja (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.