yahi hai ujrat yahi kamai hamara hissa
yahī hai ujrat yahī kamā.ī hamārā hissa
har ik aziyyat meñ do tihā.ī hamārā hissa
hameñ virāsat meñ sabr karne kā kah rahe haiñ
jhagaḌ ke kaise kaheñ ki bhaa.ī hamārā hissa
mujhe galī ke jo ek bachche pe pyaar aayā
pakaḌ ke kahne lage kalā.ī hamārā hissa
udhar vo logoñ meñ baañT aayā vafā.eñ saarī
idhar mohabbat meñ bevafā.ī hamārā hissa
hameñ na.e ḳhvāb sikka sikka 'atā hue haiñ
vo chhīn letā hai paa.ī paa.ī hamārā hissa
yahi hai ujrat yahi kamai hamara hissa
har ek aziyyat mein do tihai hamara hissa
hamein wirasat mein sabr karne ka kah rahe hain
jhagaD ke kaise kahen ki bhai hamara hissa
mujhe gali ke jo ek bachche pe pyar aaya
pakaD ke kahne lage kalai hamara hissa
udhar wo logon mein banT aaya wafaen sari
idhar mohabbat mein bewafai hamara hissa
hamein nae KHwab sikka sikka 'ata hue hain
wo chhin leta hai pai pai hamara hissa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.