yahi hona tha aur hua jaanan
yahī honā thā aur huā jānāñ
ho ga.e ham judā judā jānāñ
koī āsāñ na thī tirī furqat
maiñ haqīqat meñ ro paḌā jānāñ
tire andar huuñ maiñ hī maiñ har sū
mire andar tū jā-ba-jā jānāñ
hañs ke miltā hai har koī aise
jaise har shaḳhs ho ḳhafā jānāñ
ab maiñ chaltā huuñ chal ḳhudā-hāfiz
shahr ye vo nahīñ rahā jānāñ
yahi hona tha aur hua jaanan
ho gae hum juda juda jaanan
koi aasan na thi teri furqat
main haqiqat mein ro paDa jaanan
tere andar hun main hi main har su
mere andar tu ja-ba-ja jaanan
hans ke milta hai har koi aise
jaise har shaKHs ho KHafa jaanan
ab main chalta hun chal KHuda-hafiz
shahr ye wo nahin raha jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.