yahi ek mashghala hai zindagi ka
yahī ik mashġhala hai zindagī kā
ta.āqub kar rahā huuñ raushnī kā
shagūfe phuul bante jā rahe haiñ
gayā mausam mirī dīvāngī kā
na rakkho ḳhvāhish-e-chehra-numā.ī
na degā saath ā.īna kisī kā
maiñ zinda huuñ vasīle se kisī ke
vagarna mar gayā hotā kabhī kā
yahi ek mashghala hai zindagi ka
taaqub kar raha hun raushni ka
shagufe phul bante ja rahe hain
gaya mausam meri diwangi ka
na rakkho KHwahish-e-chehra-numai
na dega sath aaina kisi ka
main zinda hun wasile se kisi ke
wagarna mar gaya hota kabhi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.