yahi likha hai ki ab main na ma-siwa mein rahun
yahī likhā hai ki ab maiñ na mā-sivā meñ rahūñ
safīr-e-ḳhāk kī sūrat kahīñ ḳhalā meñ rahūñ
sukūt kā ye nagar bhī mujhe aziiz rahe
agar maiñ jā ke kisī mahshar-e-navā meñ rahūñ
maiñ manziloñ ke liye rāste meñ mar jā.ūñ
magar ḳhudā na kare shahr-e-nā-rasā meñ rahūñ
maiñ dekhtā hī rahūñ hashr tak baqā ke ḳhvāb
maiñ hashr tak hī na kyuuñ panja-e-fanā meñ rahūñ
purāne peḌ bhī hairat se mujh ko dekhte haiñ
jo un se baḌh ke maiñ sābit-qadam havā meñ rahūñ
yahi likha hai ki ab main na ma-siwa mein rahun
safir-e-KHak ki surat kahin KHala mein rahun
sukut ka ye nagar bhi mujhe aziz rahe
agar main ja ke kisi mahshar-e-nawa mein rahun
main manzilon ke liye raste mein mar jaun
magar KHuda na kare shahr-e-na-rasa mein rahun
main dekhta hi rahun hashr tak baqa ke KHwab
main hashr tak hi na kyun panja-e-fana mein rahun
purane peD bhi hairat se mujh ko dekhte hain
jo un se baDh ke main sabit-qadam hawa mein rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.