yahi maqam-e-wafa hai to koi baat nahin
yahī maqām-e-vafā hai to koī baat nahīñ
ye dil yahīñ pe luTā hai to koī baat nahīñ
hamāre daur-e-mohabbat kā rāz-e-sar-basta
kisī se tum ne sunā hai to koī baat nahīñ
baḌe salīqe se mazmūn band hai is meñ
lifāfa dil kā khulā hai to koī baat nahīñ
mire ḳhilāf falak-bos sāzishoñ kā dhuāñ
tumhāre ghar se uThā hai to koī baat nahīñ
ḳhudā kare ki tire ghar kī aag bujh jaa.e
'asar' kā haath jalā hai to koī baat nahīñ
yahi maqam-e-wafa hai to koi baat nahin
ye dil yahin pe luTa hai to koi baat nahin
hamare daur-e-mohabbat ka raaz-e-sar-basta
kisi se tum ne suna hai to koi baat nahin
baDe saliqe se mazmun band hai is mein
lifafa dil ka khula hai to koi baat nahin
mere KHilaf falak-bos sazishon ka dhuan
tumhaare ghar se uTha hai to koi baat nahin
KHuda kare ki tere ghar ki aag bujh jae
'asar' ka hath jala hai to koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.