yahi na samjho faqat ek KHitab hain hum tum
yahi na samjho faqat ek KHitab hain hum tum
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
yahī na samjho faqat ik ḳhitāb haiñ ham tum
koī to baat hai jis ke javāb haiñ ham tum
abhī to sūrat-e-mauj-o-habāb haiñ ham tum
jab is se guzre vahī ek aab haiñ ham tum
jo vo mile kahīñ āfat-zade to kahte haiñ
zamāna-bhar hai maze meñ ḳharāb haiñ ham tum
na pūchhe jā.eñge gar husn-o-ishq ke jhagḌe
to sab se hashr ke din be-hisāb haiñ ham tum
yahi na samjho faqat ek KHitab hain hum tum
koi to baat hai jis ke jawab hain hum tum
abhi to surat-e-mauj-o-habab hain hum tum
jab is se guzre wahi ek aab hain hum tum
jo wo mile kahin aafat-zade to kahte hain
zamana-bhar hai maze mein KHarab hain hum tum
na puchhe jaenge gar husn-o-ishq ke jhagDe
to sab se hashr ke din be-hisab hain hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.