yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai
yahī nahīñ ki bas ġham-e-safar hamāre saath hai
mizāj-e-shabnam o dil-e-sharar hamāre saath hai
unheñ kulāh-e-ḳhvājgī pe naaz hai huā kare
ye anjuman kī anjuman magar hamāre saath hai
shab-e-safar kā ġham hī kyā shab-e-safar hai muḳhtasar
abhī to ek dil sā rāhbar hamāre saath hai
tumhāre dāmanoñ meñ sañg-hā-e-nau-ba-nau sahī
ḳhayāl-e-indimāl-e-zaḳhm-e-sar hamāre saath hai
vo log aur un kī vo dukāñ to baḌh ga.ī magar
sitamgaroñ kī tab' shīshagar hamāre saath hai
jise qadam qadam pe ḳhud hī hājat-e-davā na ho
batāo koī aisā chāra-gar hamāre saath hai
nahīñ agar tufañg o tiir o tesha o tabar to kyā
dil-e-javāñ junūn-e-mo'atabar hamāre saath hai
yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai
mizaj-e-shabnam o dil-e-sharar hamare sath hai
unhen kulah-e-KHwajgi pe naz hai hua kare
ye anjuman ki anjuman magar hamare sath hai
shab-e-safar ka gham hi kya shab-e-safar hai muKHtasar
abhi to ek dil sa rahbar hamare sath hai
tumhaare damanon mein sang-ha-e-nau-ba-nau sahi
KHayal-e-indimal-e-zaKHm-e-sar hamare sath hai
wo log aur un ki wo dukan to baDh gai magar
sitamgaron ki tab' shishagar hamare sath hai
jise qadam qadam pe KHud hi hajat-e-dawa na ho
batao koi aisa chaara-gar hamare sath hai
nahin agar tufang o tir o tesha o tabar to kya
dil-e-jawan junun-e-mo'atabar hamare sath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.