yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya
yahī nahīñ ki nigāhoñ ko ashk-bār kiyā
tire firāq meñ dāman bhī taar taar kiyā
matā-e-ishq yahī hāsil-e-hayāt yahī
ḳhulūs nazr kiyā aur dil nisār kiyā
yahī bas ek ḳhatā vaj.h-e-be-qarārī thī
jo reg-zār meñ bārāñ kā intizār kiyā
zar-e-bayāñ se muzayyan nuqūsh-e-husn kiye
matā-e-harf ko mid.hat-sarā-e-yār kiyā
palaT ke aa ga.e naale jo āsmānoñ se
ḳhudā ko chhoḌ diyā kufr iḳhtiyār kiyā
yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya
tere firaq mein daman bhi tar tar kiya
mata-e-ishq yahi hasil-e-hayat yahi
KHulus nazr kiya aur dil nisar kiya
yahi bas ek KHata wajh-e-be-qarari thi
jo reg-zar mein baran ka intizar kiya
zar-e-bayan se muzayyan nuqush-e-husn kiye
mata-e-harf ko midhat-sara-e-yar kiya
palaT ke aa gae nale jo aasmanon se
KHuda ko chhoD diya kufr iKHtiyar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.