yahi nahin ki wo be-tab-o-be-qarar gaya
yahī nahīñ ki vo be-tāb-o-be-qarār gayā
mirī ragoñ meñ jo ik zahr sā utaar gayā
bujhe hue dar-o-dīvār dekhne vaalo
use bhī dekho jo ik umr yaañ guzār gayā
vafā ke baab meñ is kī to kuchh kamī na huī
maiñ aap apnī ḳhushī se ye baazī haar gayā
havā-e-sard kā jhoñkā bhī kitnā zālim thā
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke sab pairahan utaar gayā
yahi nahin ki wo be-tab-o-be-qarar gaya
meri ragon mein jo ek zahr sa utar gaya
bujhe hue dar-o-diwar dekhne walo
use bhi dekho jo ek umr yan guzar gaya
wafa ke bab mein is ki to kuchh kami na hui
main aap apni KHushi se ye bazi haar gaya
hawa-e-sard ka jhonka bhi kitna zalim tha
KHayal-o-KHwab ke sab pairahan utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.