yahi sada mujhe aksar sunai deti hai
yahī sadā mujhe aksar sunā.ī detī hai
sukūn kis ko butoñ kī ḳhudā.ī detī hai
vo aadmī jo hamesha mire ḳhilāf rahā
usī kī mujh pe hukūmat dikhā.ī detī hai
mohabbateñ hī sikhātī haiñ har sabaq lekin
bahut se dars hameñ bevafā.ī detī hai
ye uñgliyāñ hī qalam ban ke chalne lagtī haiñ
ye chashm-e-nam hī mujhe raushnā.ī detī hai
kisī ke ishq ne yuuñ dil ko kar diyā raushan
ki raushnī sī har ik sū dikhā.ī detī hai
sulūk ek sā kartī nahīñ hai ulfat bhī
milan kisī ko kisī ko judā.ī detī hai
nahīñ hai duur mirī ruuh ke qarīb hai vo
jhalak usī kī to mujh meñ dikhā.ī detī hai
na aisī duniyā se ummīd ai 'vilā' rakhnā
jo nekiyoñ ke sile meñ burā.ī detī hai
yahi sada mujhe aksar sunai deti hai
sukun kis ko buton ki KHudai deti hai
wo aadmi jo hamesha mere KHilaf raha
usi ki mujh pe hukumat dikhai deti hai
mohabbaten hi sikhati hain har sabaq lekin
bahut se dars hamein bewafai deti hai
ye ungliyan hi qalam ban ke chalne lagti hain
ye chashm-e-nam hi mujhe raushnai deti hai
kisi ke ishq ne yun dil ko kar diya raushan
ki raushni si har ek su dikhai deti hai
suluk ek sa karti nahin hai ulfat bhi
milan kisi ko kisi ko judai deti hai
nahin hai dur meri ruh ke qarib hai wo
jhalak usi ki to mujh mein dikhai deti hai
na aisi duniya se ummid ai 'wila' rakhna
jo nekiyon ke sile mein burai deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.