Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi suluk munasib hai KHush-gumanon se

Shabnam Rumani

yahi suluk munasib hai KHush-gumanon se

Shabnam Rumani

MORE BYShabnam Rumani

    yahī sulūk munāsib hai ḳhush-gumānoñ se

    paTak rahā huuñ maiñ sar āj-kal chaTānoñ se

    havā ke rahm-o-karam par hai barg-e-āvāra

    zamīn se koī rishta na āsmānoñ se

    maiñ ik raqīb sūrat huuñ darmiyāñ meñ magar

    zamīñ god harī hai inhī kisānoñ se

    vo duur ufuq meñ uḌāneñ haiñ kuchh parindoñ

    utar rahe haiñ na.e lafz āsmānoñ se

    har ik zabān darīcha hai ḳhāna-e-jāñ

    so mujh ko pyaar hai duniyā sab zabānoñ se

    yahi suluk munasib hai KHush-gumanon se

    paTak raha hun main sar aaj-kal chaTanon se

    hawa ke rahm-o-karam par hai barg-e-awara

    zamin se koi rishta na aasmanon se

    main ek raqib ki surat hun darmiyan mein magar

    zamin ki god hari hai inhi kisanon se

    wo dur ufuq mein uDanen hain kuchh parindon ki

    utar rahe hain nae lafz aasmanon se

    har ek zaban daricha hai KHana-e-jaan ka

    so mujh ko pyar hai duniya ki sab zabanon se

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 400)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now