yahi to meri wafa ka sila diya hai mujhe
yahī to merī vafā kā sila diyā hai mujhe
ki tum ne bhuul samajh kar bhulā diyā hai mujhe
mire ḳhayāl kī lau ko bujhāne vāloñ ne
charāġh-e-rāh samajh kar jalā diyā hai mujhe
kabhī to sar meñ samāyā junūn kī sūrat
kabhī ġhubār kī sūrat uḌā diyā hai mujhe
tumhāre qurb kī ḳhvāhish ne dāman-e-shab par
tumhāre vasl kā muzhda sunā diyā hai mujhe
maiñ aaj dekh rahī huuñ ki tere kūche meñ
tirī talab ne fasāna banā diyā hai mujhe
udāsiyoñ meñ aTī shām-e-ġham kī chaukhaT par
ḳhayāl-e-yār ne kitnā rulā diyā hai mujhe
jahāñ bhī sham-e-mohabbat jalā.ī hai maiñ ne
havā-e-ġham ne vahīñ par bujhā diyā hai mujhe
yahi to meri wafa ka sila diya hai mujhe
ki tum ne bhul samajh kar bhula diya hai mujhe
mere KHayal ki lau ko bujhane walon ne
charagh-e-rah samajh kar jala diya hai mujhe
kabhi to sar mein samaya junun ki surat
kabhi ghubar ki surat uDa diya hai mujhe
tumhaare qurb ki KHwahish ne daman-e-shab par
tumhaare wasl ka muzhda suna diya hai mujhe
main aaj dekh rahi hun ki tere kuche mein
teri talab ne fasana bana diya hai mujhe
udasiyon mein aTi sham-e-gham ki chaukhaT par
KHayal-e-yar ne kitna rula diya hai mujhe
jahan bhi sham-e-mohabbat jalai hai main ne
hawa-e-gham ne wahin par bujha diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.