yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin
yahī vafā kā sila hai to koī baat nahīñ
ye dard tum ne diyā hai to koī baat nahīñ
yahī bahut hai ki tum dekhte ho sāhil se
safīna Duub rahā hai to koī baat nahīñ
ye fikr hai kahīñ tum bhī na saath chhoḌ chalo
jahāñ ne chhoḌ diyā hai to koī baat nahīñ
tumhī ne ā.ina-e-dil mirā banāyā thā
tumhī ne toḌ diyā hai to koī baat nahīñ
kise majāl kahe koī mujh ko dīvāna
agar ye tum ne kahā hai to koī baat nahīñ
yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin
ye dard tum ne diya hai to koi baat nahin
yahi bahut hai ki tum dekhte ho sahil se
safina Dub raha hai to koi baat nahin
ye fikr hai kahin tum bhi na sath chhoD chalo
jahan ne chhoD diya hai to koi baat nahin
tumhi ne aaina-e-dil mera banaya tha
tumhi ne toD diya hai to koi baat nahin
kise majal kahe koi mujh ko diwana
agar ye tum ne kaha hai to koi baat nahin
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 18)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.