yak-ba-yak jaatā rahā dilbar jo ghar aayā huā
dauḌā dauḌā maiñ phirā galiyoñ meñ ghabrāyā huā
jaan kyā jallād kī leve dobārā hukm-e-qatl
muñh se us zālim ne jo yakbār farmāyā huā
hijr meñ us gul ke ye sūrat hamārī ban ga.ī
rang bhī hai zard aur chehra bhī murjhāyā huā
ḳhāna-e-dil se kareñ ġham yaar kā kis tarah duur
dar se uThtā hai muhassal koī biThlāyā huā
kyā ġhazab TuuTe hai dekheñ āshiqoñ kī jaan par
aaj kuchh ġhusse meñ hai baiThā vo jhunjhlāyā huā
yuuñ kiyā barbād us gul ne dil-e-pazh-murda ko
pheñk de hai phuul jaise koī kumlāyā huā
'muntazir' kā jī jalā de kyoñ na har ik baat meñ
hai vo zālim sho.ala-ḳhū ġhairoñ kā bhaḌkāyā huā
yak-ba-yak jata raha dilbar jo ghar aaya hua
dauDa dauDa main phira galiyon mein ghabraya hua
jaan kya jallad ki lewe dobara hukm-e-qatl
munh se us zalim ne jo yakbar farmaya hua
hijr mein us gul ke ye surat hamari ban gai
rang bhi hai zard aur chehra bhi murjhaya hua
KHana-e-dil se karen gham yar ka kis tarah dur
dar se uThta hai muhassal koi biThlaya hua
kya ghazab TuTe hai dekhen aashiqon ki jaan par
aaj kuchh ghusse mein hai baiTha wo jhunjhlaya hua
yun kiya barbaad us gul ne dil-e-pazh-murda ko
phenk de hai phul jaise koi kumlaya hua
'muntazir' ka ji jala de kyon na har ek baat mein
hai wo zalim shoala-KHu ghairon ka bhaDkaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.