yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana
yak-ba-yak manzar-e-hastī kā nayā ho jaanā
dhuup meñ surma.ī miTTī kā harā ho jaanā
sub.h ke shahr meñ ik shor hai shādābī kā
gil-e-dīvār zarā bosa-numā ho jaanā
koī iqlīm nahīñ mere tasarruf meñ magar
mujh ko aatā hai bahut farmāñ-ravā ho jaanā
zisht aur ḳhuub ke mā-bain jalāyā maiñ ne
jis gul-e-surḳh ko thā sho.ala-numā ho jaanā
chashm kā ā.īna-ḳhāne meñ pahuñchnā 'sarvat'
dil-e-durvesh kā mā.il-ba-duā ho jaanā
yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana
dhup mein surmai miTTi ka hara ho jaana
subh ke shahr mein ek shor hai shadabi ka
gil-e-diwar zara bosa-numa ho jaana
koi iqlim nahin mere tasarruf mein magar
mujh ko aata hai bahut farman-rawa ho jaana
zisht aur KHub ke ma-bain jalaya main ne
jis gul-e-surKH ko tha shoala-numa ho jaana
chashm ka aaina-KHane mein pahunchna 'sarwat'
dil-e-durwesh ka mail-ba-dua ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.