yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai
yak-ba-yak mausam kī tabdīlī qayāmat Dhā ga.ī
ruk ke sustānā thā jab mujh ko kaḌī dhuup aa ga.ī
din Dhale kis ko hai tajdīd-e-safar kā hausla
aatī jaatī rahguzar nāhaq mujhe bahkā ga.ī
bū-e-gul mauj-e-havā hai aur havā kyūñkar ruke
ab ke miTTī hī kī ḳhushbū merā ghar mahkā ga.ī
vo havā.eñ haiñ uḌe jaate haiñ pairāhan yahāñ
ai urūs-e-zīst tū kyuuñ ghar se bāhar aa ga.ī
ye havā aa.ī kahāñ se is se maiñ vāqif na thā
mere ghar meñ jo charāġhoñ kā dhuāñ phailā ga.ī
vo ghaTā phir is taraf se lauT kar guzrī nahīñ
sūkhī dhartī ko jo dariyā kā pata batlā ga.ī
zindagī marg-e-talab tark-e-talab 'aḳhtar' na thī
phir bhī apne tāne-bāne meñ mujhe uljhā ga.ī
yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai
ruk ke sustana tha jab mujh ko kaDi dhup aa gai
din Dhale kis ko hai tajdid-e-safar ka hausla
aati jati rahguzar nahaq mujhe bahka gai
bu-e-gul mauj-e-hawa hai aur hawa kyunkar ruke
ab ke miTTi hi ki KHushbu mera ghar mahka gai
wo hawaen hain uDe jate hain pairahan yahan
ai urus-e-zist tu kyun ghar se bahar aa gai
ye hawa aai kahan se is se main waqif na tha
mere ghar mein jo charaghon ka dhuan phaila gai
wo ghaTa phir is taraf se lauT kar guzri nahin
sukhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai
zindagi marg-e-talab tark-e-talab 'aKHtar' na thi
phir bhi apne tane-bane mein mujhe uljha gai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 307)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.