yak dast-e-fitna barpa humne jahan mein dekha
yak dast-e-fitna barpa humne jahan mein dekha
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
yak dast-e-fitna barpā ham ne jahāñ meñ dekhā
mansūr ko sarāsar dārul-amāñ meñ dekhā
ātish jigar meñ gaahe gah sho.ala jaañ meñ dekhā
allāh ham ne kyā kyā ishq-e-butāñ meñ dekhā
kis sho.ala-rū kī ulfat juuñ barq dil meñ chamkī
ātish kā yak zubāna kām-o-dahāñ meñ dekhā
ham ko kafan usī kā lāzim hai māh-rū yaañ
ulfat kā partav-āsā ham ne katāñ meñ dekhā
jo haiñ khare unhīñ ko das khoTiyāñ sunā.e
ham ne nayā salīqa us naujavāñ meñ dekhā
ai ahl-e-dil ḳhudā-e-dil ne yahāñ dikhā.e
dillī meñ thā jo dekhā kū-e-butāñ meñ dekhā
us ḳhāk-e-pā kā surma āñkhoñ meñ jab na dekhā
kyā ḳhaak aa ke ham ne is ḳhāk-dāñ meñ dekhā
kyā rang ashk-e-ḳhūnīñ furqat meñ haiñ dikhātī
rañg-e-bahār ham ne fasl-e-ḳhizāñ meñ dekhā
aañsū sadā ravāñ haiñ apnā hai ab ye naqsha
yārab ye kis kā naqsha āb-e-ravāñ meñ dekhā
tujh ko kabhī na dekhā dekhā jahān saarā
garche tujhī ko maiñ ne saare jahāñ meñ dekhā
jitne haiñ ahl-e-jauhar un ko zamīñ na paave
ham ne ġharaz ye jauhar is āsmāñ meñ dekhā
shohra hai lucknow kā lekin naūz-billāh
momin jo vaañ haiñ un ko kufr-e-nihāñ meñ dekhā
dillī ke hinduoñ meñ haiñ ahl-e-dil hazāroñ
dillī sā shahr kis ne hindostāñ meñ dekhā
do din se maiñ judā huuñ us mū kamar se 'ehsāñ'
ik sau tarah kā sadma is darmiyāñ meñ dekhā
yak dast-e-fitna barpa hum ne jahan mein dekha
mansur ko sarasar darul-aman mein dekha
aatish jigar mein gahe gah shoala jaan mein dekha
allah hum ne kya kya ishq-e-butan mein dekha
kis shoala-ru ki ulfat jun barq dil mein chamki
aatish ka yak zubana kaam-o-dahan mein dekha
hum ko kafan usi ka lazim hai mah-ru yan
ulfat ka partaw-asa hum ne katan mein dekha
jo hain khare unhin ko das khoTiyan sunae
hum ne naya saliqa us naujawan mein dekha
ai ahl-e-dil KHuda-e-dil ne yahan dikhae
dilli mein tha jo dekha ku-e-butan mein dekha
us KHak-e-pa ka surma aankhon mein jab na dekha
kya KHak aa ke hum ne is KHak-dan mein dekha
kya rang ashk-e-KHunin furqat mein hain dikhati
rang-e-bahaar hum ne fasl-e-KHizan mein dekha
aansu sada rawan hain apna hai ab ye naqsha
yarab ye kis ka naqsha aab-e-rawan mein dekha
tujh ko kabhi na dekha dekha jahan sara
garche tujhi ko main ne sare jahan mein dekha
jitne hain ahl-e-jauhar un ko zamin na pawe
hum ne gharaz ye jauhar is aasman mein dekha
shohra hai lucknow ka lekin nauz-billah
momin jo wan hain un ko kufr-e-nihan mein dekha
dilli ke hinduon mein hain ahl-e-dil hazaron
dilli sa shahr kis ne hindostan mein dekha
do din se main juda hun us mu kamar se 'ehsan'
ek sau tarah ka sadma is darmiyan mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.