yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae
yak lamha sahī 'umr kā armān hī rah jaa.e
is ḳhalvat-e-yaḳh meñ koī mehmān hī rah jaa.e
qurbat meñ shab-e-garm kā mausam hai tirā jism
ye ḳhitta-e-jāñ vaqf-e-zamistān hī rah jaa.e
mujh shāḳh-e-barahna pe sajā barf kī kaliyāñ
patjhaḌ pe tire husn kā ehsān hī rah jaa.e
farfāg ke āshob meñ jam jaatī haiñ socheñ
is karb-e-qayāmat meñ tirā dhyān hī rah jaa.e
tujh bin to sunā.ī na de sūraj kī sadā bhī
dil dasht-e-havā-basta hai sunsān hī rah jaa.e
marmar kī siloñ meñ to ghuTe aage kā dam bhī
ye qarya-e-jānāñ hai yahāñ jaan hī rah jaa.e
sochūñ to shu'ā'oñ se tarāshūñ tirā paikar
chhū luuñ to vahī barf kā insān hī rah jaa.e
ye shaam ye chāñdī kā barastā huā jharnā
koī tirī zulfoñ meñ pareshān hī rah jaa.e
sūrat se vo gul-barf sahī phir bhī 'atā-shād'
tāsīr meñ vo mushk kī pahchān hī rah jaa.e
yak lamha sahi 'umr ka arman hi rah jae
is KHalwat-e-yaKH mein koi mehman hi rah jae
qurbat mein shab-e-garm ka mausam hai tera jism
ye KHitta-e-jaan waqf-e-zamistan hi rah jae
mujh shaKH-e-barahna pe saja barf ki kaliyan
patjhaD pe tere husn ka ehsan hi rah jae
farfag ke aashob mein jam jati hain sochen
is karb-e-qayamat mein tera dhyan hi rah jae
tujh bin to sunai na de suraj ki sada bhi
dil dasht-e-hawa-basta hai sunsan hi rah jae
marmar ki silon mein to ghuTe aage ka dam bhi
ye qarya-e-jaanan hai yahan jaan hi rah jae
sochun to shu'a'on se tarashun tera paikar
chhu lun to wahi barf ka insan hi rah jae
ye sham ye chandi ka barasta hua jharna
koi teri zulfon mein pareshan hi rah jae
surat se wo gul-barf sahi phir bhi 'ata-shad'
tasir mein wo mushk ki pahchan hi rah jae
- Book : naquush (Pg. 274)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.