yak nigah sen liya hai wo gulfam
yak nigah señ liyā hai vo gulfām
kyā ḳhirad kyā shakeb kyā ārām
haq meñ ushshāq ke qayāmat hai
kyā karam kyā itaab kyā dushnām
mujh kuuñ gul-gasht-e-bāġh-e-zindāñ hai
sabza zanjīr-o-shāḳh-e-sumbul-o-dām
mai-kashī kuuñ tirī gulistāñ meñ
sarv-e-mīnā hai daur-e-nargis-e-jām
vaqt hai ab namāz-e-maġhrib kā
chāñd ruḳh lab shafaq hai gesū shaam
aarzū hai jo manzil-e-maqsūd
tark-e-matlab hai muddā-e-tamām
sidq-e-dil señ 'sirāj' bāñdhā hai
ka.aba-e-kū-e-yār kā ehrām
yak nigah sen liya hai wo gulfam
kya KHirad kya shakeb kya aaram
haq mein ushshaq ke qayamat hai
kya karam kya itab kya dushnam
mujh kun gul-gasht-e-bagh-e-zindan hai
sabza zanjir-o-shaKH-e-sumbul-o-dam
mai-kashi kun teri gulistan mein
sarw-e-mina hai daur-e-nargis-e-jam
waqt hai ab namaz-e-maghrib ka
chand ruKH lab shafaq hai gesu sham
aarzu hai jo manzil-e-maqsud
tark-e-matlab hai mudda-e-tamam
sidq-e-dil sen 'siraj' bandha hai
kaba-e-ku-e-yar ka ehram
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 460)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.