Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka

Mirza Ghalib

yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    yak-zarra-e-zamīñ nahīñ be-kār baaġh

    yaañ jaada bhī fatīla hai laale ke daaġh

    be-mai kise hai tāqat-e-āshob-e-āgahī

    khīñchā hai ijz-e-hausla ne ḳhat ayāġh

    bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul

    kahte haiñ jis ko ishq ḳhalal hai dimāġh

    taaza nahīñ hai nashsha-e-fikr-e-suḳhan mujhe

    tiryākī-e-qadīm huuñ dūd-e-charāġh

    sau baar band-e-ishq se āzād ham hue

    par kyā kareñ ki dil adū hai farāġh

    be-ḳhūn-e-dil hai chashm meñ mauj-e-nigah ġhubār

    ye mai-kada ḳharāb hai mai ke surāġh

    bāġh-e-shagufta terā bisāt-e-nashāt-e-dil

    abr-e-bahār ḳhum-kada kis ke dimāġh kaa?

    josh-e-bahār-e-kulfat-e-nazzāra hai 'asad'

    hai abr pamba rauzan-e-dīvār-e-bāġh

    yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka

    yan jada bhi fatila hai lale ke dagh ka

    be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi

    khincha hai ijz-e-hausla ne KHat ayagh ka

    bulbul ke karobar pe hain KHanda-ha-e-gul

    kahte hain jis ko ishq KHalal hai dimagh ka

    taza nahin hai nashsha-e-fikr-e-suKHan mujhe

    tiryaki-e-qadim hun dud-e-charagh ka

    sau bar band-e-ishq se aazad hum hue

    par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka

    be-KHun-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubar

    ye mai-kada KHarab hai mai ke suragh ka

    bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil

    abr-e-bahaar KHum-kada kis ke dimagh ka?

    josh-e-bahaar-e-kulfat-e-nazzara hai 'asad'

    hai abr pamba rauzan-e-diwar-e-bagh ka

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 165)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now