yakāyak 'aks dhuñdlāne lage haiñ
nazar meñ aa.ine aane lage haiñ
zamīñ hai muntazir fasl-e-ziyā kī
falak par nuur ke daane lage haiñ
ḳhizāñ aane se pahle bāñch lenā
daraḳhtoñ par jo afsāne lage haiñ
hameñ is tarah hī honā thā ābād
hamāre saath vīrāne lage haiñ
fasīl-e-dil girā to duuñ maiñ lekin
isī dīvār se shāne lage haiñ
kabhī fāqa-kashī dikhlā.egī rang
isī meñ solahoñ aane lage haiñ
yakayak 'aks dhundlane lage hain
nazar mein aaine aane lage hain
zamin hai muntazir fasl-e-ziya ki
falak par nur ke dane lage hain
KHizan aane se pahle banch lena
daraKHton par jo afsane lage hain
hamein is tarah hi hona tha aabaad
hamare sath virane lage hain
fasil-e-dil gira to dun main lekin
isi diwar se shane lage hain
kabhi faqa-kashi dikhlaegi rang
isi mein solahon aane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.