yaKH-basta bagh mein koi titli hanut thi
yaḳh-basta baaġh meñ koī titlī hanūt thī
phūloñ pe mere ḳhvāb kī miTTī hanūt thī
shahzādiyoñ ke ḳhvāb havā ne churā liye
ta.abīr meñ bhī niiñd kī siskī hanūt thī
us ke hadaf the bā.is-e-sharmindagī use
us ke har ek tiir meñ daasī hanūt thī
lafzoñ ko qaid kar liyā us ke hijāb ne
ojhal nazar se arz kī devī hanūt thī
har koh ek qahr kī sūrat dikhā.ī de
har sang meñ ġharīb kī beTī hanūt thī
Tapkā hai ḳhuun shelf se 'tāhir' zamīn par
kis kis kitāb meñ mirī chiTThī hanūt thī
yaKH-basta bagh mein koi titli hanut thi
phulon pe mere KHwab ki miTTi hanut thi
shahzadiyon ke KHwab hawa ne chura liye
tabir mein bhi nind ki siski hanut thi
us ke hadaf the bais-e-sharmindagi use
us ke har ek tir mein dasi hanut thi
lafzon ko qaid kar liya us ke hijab ne
ojhal nazar se arz ki dewi hanut thi
har koh ek qahr ki surat dikhai de
har sang mein gharib ki beTi hanut thi
Tapka hai KHun shelf se 'tahir' zamin par
kis kis kitab mein meri chiTThi hanut thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.