Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yakta-e-rozgar hamara makan tha

Kausar Siddiqi

yakta-e-rozgar hamara makan tha

Kausar Siddiqi

MORE BYKausar Siddiqi

    yaktā-e-rozgār hamārā makān thā

    nīche zamīñ thī sar pe khulā āsmān thā

    ab shāḳh-e-āshiyāñ hai na tinke nasīb haiñ

    aa.egā aisā vaqt bhī kis ko gumān thā

    aayā jo inqalāb to sab kuchh badal gayā

    pahle yahī zamīñ thī yahī āsmān thā

    tanhā.iyoñ ne farz-e-ziyāfat adā kiyā

    kal raat apne ghar meñ maiñ mehmān thā

    aaj un pe multafit hai yahī inqalāb hai

    ham par bhī ye zamāna kabhī mehrbān thā

    us ko sazā de ham ko barī kis tarah kare

    munsif imtihān hamārā bayān thā

    'kausar' ḳhudā se koī shikāyat na kījiye

    ye sochiye ki pahle vo kyoñ mehrbān thā

    yakta-e-rozgar hamara makan tha

    niche zamin thi sar pe khula aasman tha

    ab shaKH-e-ashiyan hai na tinke nasib hain

    aaega aisa waqt bhi kis ko guman tha

    aaya jo inqalab to sab kuchh badal gaya

    pahle yahi zamin thi yahi aasman tha

    tanhaiyon ne farz-e-ziyafat ada kiya

    kal raat apne ghar hi mein main mehman tha

    aaj un pe multafit hai yahi inqalab hai

    hum par bhi ye zamana kabhi mehrban tha

    us ko saza de hum ko bari kis tarah kare

    munsif ka imtihan hamara bayan tha

    'kausar' KHuda se koi shikayat na kijiye

    ye sochiye ki pahle wo kyon mehrban tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now