yaqin-e-mohkam se kaam lena na darmiyan ehtimal rakhna
yaqin-e-mohkam se kaam lena na darmiyan ehtimal rakhna
Naz Muzaffarabadi
MORE BYNaz Muzaffarabadi
yaqīn-e-mohkam se kaam lenā na darmiyāñ ehtimāl rakhnā
samundaroñ ke safar pe jaanā to hausle bhī kamāl rakhnā
hazār zād-e-safar se baḌh kar vo ek chhoTī sī baat Thahrī
ba-vaqt-e-ruḳhsat kisī kā kahnā safar meñ apnā ḳhayāl rakhnā
tum apnī ḳhātir bachā ke rakhnā masarratoñ kī tamām ghaḌiyāñ
jahān bhar kī udāsiyoñ ko hamāre hisse meñ Daal rakhnā
chaman ko kis ne lahū se sīñchā guloñ se kis ne fareb khaa.e
savāl aa.e agar vafā kā to sāmne ye savāl rakhnā
ġham-e-jahāñ se nazar bachā ke ham ā.eñge hāl-e-dil sunāne
jo ho sake to hamārī ḳhātir zarā sī fursat nikāl rakhnā
na maslahat se ḳhamosh rahne ke naaz tum ko usuul aa.e
ye kyā ki har baat par bigaḌnā ye kyā ki ik ishti.āl rakhnā
yaqin-e-mohkam se kaam lena na darmiyan ehtimal rakhna
samundaron ke safar pe jaana to hausle bhi kamal rakhna
hazar zad-e-safar se baDh kar wo ek chhoTi si baat Thahri
ba-waqt-e-ruKHsat kisi ka kahna safar mein apna KHayal rakhna
tum apni KHatir bacha ke rakhna masarraton ki tamam ghaDiyan
jahan bhar ki udasiyon ko hamare hisse mein Dal rakhna
chaman ko kis ne lahu se sincha gulon se kis ne fareb khae
sawal aae agar wafa ka to samne ye sawal rakhna
gham-e-jahan se nazar bacha ke hum aaenge haal-e-dil sunane
jo ho sake to hamari KHatir zara si fursat nikal rakhna
na maslahat se KHamosh rahne ke naz tum ko usul aae
ye kya ki har baat par bigaDna ye kya ki ek ishtial rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.