yaqin hai na guman hai zara sambhal ke chalo
yaqīn hai na gumāñ hai zarā sambhal ke chalo
ajiib rañg-e-jahāñ hai zarā sambhal ke chalo
sulagte ḳhvāboñ kī bastī hai rah-guzār-e-hayāt
yahāñ dhuāñ hī dhuāñ hai zarā sambhal ke chalo
ravish ravish hai guzar-gāh-e-nik.hat-e-barbād
kalī kalī nigarāñ hai zarā sambhal ke chalo
jo zaḳhm de ke ga.ī hai abhī nasīm-e-sahar
sukūt-e-gul se ayaañ hai zarā sambhal ke chalo
ḳhirām-e-nāz mubārak tumheñ magar ye dil
matā-e-shīsha-garāñ hai zarā sambhal ke chalo
surāġh-e-hashr na pā jaa.eñ dekhne vaale
hujūm-e-dīda-varāñ hai zarā sambhal ke chalo
yahāñ zamīn bhī qadmoñ ke saath chaltī hai
ye ālam-e-guzarāñ hai zarā sambhal ke chalo
yaqin hai na guman hai zara sambhal ke chalo
ajib rang-e-jahan hai zara sambhal ke chalo
sulagte KHwabon ki basti hai rah-guzar-e-hayat
yahan dhuan hi dhuan hai zara sambhal ke chalo
rawish rawish hai guzar-gah-e-nikhat-e-barbaad
kali kali nigaran hai zara sambhal ke chalo
jo zaKHm de ke gai hai abhi nasim-e-sahar
sukut-e-gul se ayan hai zara sambhal ke chalo
KHiram-e-naz mubarak tumhein magar ye dil
mata-e-shisha-garan hai zara sambhal ke chalo
suragh-e-hashr na pa jaen dekhne wale
hujum-e-dida-waran hai zara sambhal ke chalo
yahan zamin bhi qadmon ke sath chalti hai
ye aalam-e-guzaran hai zara sambhal ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.