yaqin ke bhi kya kya hijabaat hain
yaqīñ ke bhī kyā kyā hijābāt haiñ
haqīqat kī zid e.atiqādāt haiñ
taraqqī ke raste na khulte magar
ye sab dostoñ kī ināyāt haiñ
ye zanjīr bhī itnī mohkam nahīñ
haqā.eq bhī zaatī ḳhayālāt haiñ
koī shaḳhs ḳhūbī se ḳhālī nahīñ
har ik shaḳhs ke apne hālāt haiñ
falak ko bhī dekheñge lekin abhī
zamīñ par bhī kitne maqāmāt haiñ
adā kuchh kiyā nasl-e-fardā kā qarz
ki ham ai zamāne tire saath haiñ
yaqin ke bhi kya kya hijabaat hain
haqiqat ki zid eatiqadat hain
taraqqi ke raste na khulte magar
ye sab doston ki inayat hain
ye zanjir bhi itni mohkam nahin
haqaeq bhi zati KHayalat hain
koi shaKHs KHubi se KHali nahin
har ek shaKHs ke apne haalat hain
falak ko bhi dekhenge lekin abhi
zamin par bhi kitne maqamat hain
ada kuchh kiya nasl-e-farda ka qarz
ki hum ai zamane tere sath hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.