yaqin ke waste dil mein guman ho
yaqīñ ke vāste dil meñ gumāñ ho
sharar ho ba.ad meñ pahle dhuāñ ho
mohabbat kāmiyāb-o-kāmrāñ haiñ
koī bachcha hamāre darmiyāñ ho
ḳhamoshī raat se ghere hue hai
mirī āvāz ke panchhī kahāñ ho
patā pā kar vahī pahuñchegā us tak
jo pahle aab be-ghar be-nishāñ ho
nadī kyoñ jhiil meñ sustā rahī hai
mile sāgar se jo paanī ravāñ ho
hamārā pyaar ho bargad kī shāḳheñ
baḌhe jo umr to donā javāñ ho
savāloñ ko to ḳhvāboñ se na bāñdho
tumhārī zindagī bas dāstāñ ho
yaqin ke waste dil mein guman ho
sharar ho baad mein pahle dhuan ho
mohabbat kaamiyab-o-kaamran hain
koi bachcha hamare darmiyan ho
KHamoshi raat se ghere hue hai
meri aawaz ke panchhi kahan ho
pata pa kar wahi pahunchega us tak
jo pahle aab be-ghar be-nishan ho
nadi kyon jhil mein susta rahi hai
mile sagar se jo pani rawan ho
hamara pyar ho bargad ki shaKHen
baDhe jo umr to dona jawan ho
sawalon ko to KHwabon se na bandho
tumhaari zindagi bas dastan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.