yaqin TuT chuka hai guman baqi hai
yaqīn TuuT chukā hai gumān baaqī hai
hamāre sar pe abhī āsmān baaqī hai
chale to aa.e haiñ ham ḳhvāb se haqīqat tak
safar tavīl thā ab tak takān baaqī hai
unheñ ye zo.am ki fariyād kā chalan na rahā
hameñ yaqīn ki muñh meñ zabān baaqī hai
har ek samt se pathrāv hai magar ab tak
lahūluhān parinde meñ jaan baaqī hai
fasāna shahr kī ta.amīr kā sunāne ko
galī ke moḌ pe TuuTā makān baaqī hai
milā na jo hameñ qātil kī āstīñ pe 'hasan'
usī lahū kā zamīñ pe nishān baaqī hai
yaqin TuT chuka hai guman baqi hai
hamare sar pe abhi aasman baqi hai
chale to aae hain hum KHwab se haqiqat tak
safar tawil tha ab tak takan baqi hai
unhen ye zoam ki fariyaad ka chalan na raha
hamein yaqin ki munh mein zaban baqi hai
har ek samt se pathraw hai magar ab tak
lahuluhan parinde mein jaan baqi hai
fasana shahr ki tamir ka sunane ko
gali ke moD pe TuTa makan baqi hai
mila na jo hamein qatil ki aastin pe 'hasan'
usi lahu ka zamin pe nishan baqi hai
- Book : Haasil Yahee (Pg. 83)
- Author : Hasan Kamal
- Publication : Maktaba Jamia LTD (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.