yaqinan hai koi mah-e-munawwar pichhe chilman ke
yaqīnan hai koī māh-e-munavvar pīchhe chilman ke
ki us kī putliyoñ se aa rahā hai nuur chhan chhan ke
qadam kyūñ-kar na luuñ but-ḳhāne meñ ik ik brahman ke
ki aayā huuñ yahāñ maiñ shauq meñ ik but ke darshan ke
na kyuuñ ā.īna vo dekhā kareñ har vaqt ban ban ke
zamāna hai ye ḳhud-bīnī kā din haiñ un ke joban ke
ye haiñ sāmān-e-ārā.ish junūñ meñ apne maskan ke
udhar TukḌe garebāñ ke idhar purze haiñ dāman ke
hamāre dast-e-vahshat kab haiñ nichle baiThne vaale
uḌā leñge na saare taar jab tak jeb-o-dāman ke
hamārī ḳhāna-vīrānī kī dhun kyuuñ bāġhbāñ ko hai
hamāre paas kyā hai chaar tinke haiñ nasheman ke
hamāre yaar kī qīmat ko kyā tum ne nahīñ dekhā
khaḌe ho sarv shamshād o sanobar! tum jo jiyūñ tan ke
zamāne meñ koī hogā ki bigḌī us kī bantī ho
hamāre khel to saare bigaḌ jaate haiñ ban ban ke
koī ḳhurshīd-sīmā aa rahā hai fātiha paḌhne
zarūrat sham' kī ab kyā sirhāne mere madfan ke
ḳhabar le ab zarā apnī safā.ī qalb kī zāhid
ginegā daaġh kab tak tū mire ālūda dāman ke
zabāñ se kahne se hāsil ki tujh se uns hai mujh ko
samajhtā hai mirā dil ḳhuub ishāre taire chitvan ke
jo vā bhī ho qafas kā dar to ham us se na hoñ bāhar
nahīñ dil meñ hamāre valvale ab sair-e-gulshan ke
garebāñ chaak āñkheñ surḳh barham kākul-e-pechāñ
ye kyā sūrat banā.ī haa.e tum ne ġham meñ dushman ke
marā huuñ ik but-e-ġhārat-gar-e-dīñ kī mohabbat meñ
kafan merā sile tāroñ se zunnār-e-brahman ke
ḳhizāñ aur naġhme shādī ke bahār aa.e to gā lenā
ye din to ai 'anādil haiñ tumhāre shor-o-shevan ke
jo ho bārān-e-rahmat mazra.a-e-aġhyār ke haq meñ
vahī barq-e-ġhazab ho aah haq meñ mere ḳhirman ke
dil-e-nādāñ kī hai kyā asl agar buqrāt bhī hotā
to aatā vo bhī dam meñ us but-e-ayyār-o-pur-fan ke
hasīnān-e-jahāñ ke Dhang duniyā se nirāle haiñ
ki hote haiñ ye dushman dost ke aur dost dushman ke
unheñ hargiz ye dil apnā ki shīshe se bhī nāzuk hai
na deñge ham ki un meñ Dhang abhī tak haiñ laḌakpan ke
ġham-e-duniyā-o-dīñ se ab kahāñ dam bhar kī bhī mohlat
hamārī fāriġh-ul-bālī sudhārī saath bachpan ke
gayā thā raat vā'iz mai-kade meñ vaa'z kahne ko
magar niklā vo koī shai chhupā.e nīche dāman ke
na jāneñ us meñ thī kyā maslahat sannā' be-chūñ kī
dil un sīmīñ-tanoñ ke kyuuñ banā.e sañg-o-āhan ke
agar ġhaflat kā parda duur ho insāñ kī āñkhoñ se
nazar aa.eñ manāzir har jagah vādī-o-aiman ke
taġhāful kaj-adā.ī bevafā.ī āshiq-e-zārī
butoñ ko kyā nahīñ aatā ye haiñ ustād har fan ke
agar mujh se judā hone kī tū ne Thaan hī lī hai
judā.ī Daal pahle darmiyāñ mere sar o tan ke
agar 'ushshāq ke maqsūm meñ thā sadma-e-hijrāñ
banā.e jaate un ke dil bhī yā-rab sañg-o-āhan ke
vo rūThe haiñ to go mushkil nahīñ un kā manā lenā
magar kab tak manā.ūñ ruuTh jaate haiñ vo man man ke
tumhārī maañg ab kyā māñgtī hai naqd-e-dil mujh se
vo hai muddat se qabze meñ tumhārī chashm-e-rahzan ke
'abas is dhun meñ mehr-o-māh khāte phirte haiñ chakkar
ki ho un ko faroġh aage tumhāre rū-e-raushan ke
ġharaz shāyad ye hai 'ranjūr' qabl-az-maut mar jaa.e
chale ho tum jo yuuñ bahr-e-'ayādat aaj ban-Than ke
yaqinan hai koi mah-e-munawwar pichhe chilman ke
ki us ki putliyon se aa raha hai nur chhan chhan ke
qadam kyun-kar na lun but-KHane mein ek ek brahman ke
ki aaya hun yahan main shauq mein ek but ke darshan ke
na kyun aaina wo dekha karen har waqt ban ban ke
zamana hai ye KHud-bini ka din hain un ke joban ke
ye hain saman-e-araish junun mein apne maskan ke
udhar TukDe gareban ke idhar purze hain daman ke
hamare dast-e-wahshat kab hain nichle baiThne wale
uDa lenge na sare tar jab tak jeb-o-daman ke
hamari KHana-virani ki dhun kyun baghban ko hai
hamare pas kya hai chaar tinke hain nasheman ke
hamare yar ki qimat ko kya tum ne nahin dekha
khaDe ho sarw shamshad o sanobar! tum jo jiyun tan ke
zamane mein koi hoga ki bigDi us ki banti ho
hamare khel to sare bigaD jate hain ban ban ke
koi KHurshid-sima aa raha hai fatiha paDhne
zarurat sham' ki ab kya sirhane mere madfan ke
KHabar le ab zara apni safai qalb ki zahid
ginega dagh kab tak tu mere aaluda daman ke
zaban se kahne se hasil ki tujh se uns hai mujh ko
samajhta hai mera dil KHub ishaare taire chitwan ke
jo wa bhi ho qafas ka dar to hum us se na hon bahar
nahin dil mein hamare walwale ab sair-e-gulshan ke
gareban chaak aankhen surKH barham kakul-e-pechan
ye kya surat banai hae tum ne gham mein dushman ke
mara hun ek but-e-ghaarat-gar-e-din ki mohabbat mein
kafan mera sile taron se zunnar-e-brahman ke
KHizan aur naghme shadi ke bahaar aae to ga lena
ye din to ai 'anadil hain tumhaare shor-o-shewan ke
jo ho baran-e-rahmat mazra-e-aghyar ke haq mein
wahi barq-e-ghazab ho aah haq mein mere KHirman ke
dil-e-nadan ki hai kya asl agar buqraat bhi hota
to aata wo bhi dam mein us but-e-ayyar-o-pur-fan ke
hasinan-e-jahan ke Dhang duniya se nirale hain
ki hote hain ye dushman dost ke aur dost dushman ke
unhen hargiz ye dil apna ki shishe se bhi nazuk hai
na denge hum ki un mein Dhang abhi tak hain laDakpan ke
gham-e-duniya-o-din se ab kahan dam bhar ki bhi mohlat
hamari farigh-ul-baali sudhaari sath bachpan ke
gaya tha raat wa'iz mai-kade mein wa'z kahne ko
magar nikla wo koi shai chhupae niche daman ke
na jaanen us mein thi kya maslahat sanna' be-chun ki
dil un simin-tanon ke kyun banae sang-o-ahan ke
agar ghaflat ka parda dur ho insan ki aankhon se
nazar aaen manazir har jagah wadi-o-aiman ke
taghaful kaj-adai bewafai aashiq-e-zari
buton ko kya nahin aata ye hain ustad har fan ke
agar mujh se juda hone ki tu ne Than hi li hai
judai Dal pahle darmiyan mere sar o tan ke
agar 'ushshaq ke maqsum mein tha sadma-e-hijran
banae jate un ke dil bhi ya-rab sang-o-ahan ke
wo ruThe hain to go mushkil nahin un ka mana lena
magar kab tak manaun ruTh jate hain wo man man ke
tumhaari mang ab kya mangti hai naqd-e-dil mujh se
wo hai muddat se qabze mein tumhaari chashm-e-rahzan ke
'abas is dhun mein mehr-o-mah khate phirte hain chakkar
ki ho un ko farogh aage tumhaare ru-e-raushan ke
gharaz shayad ye hai 'ranjur' qabl-az-maut mar jae
chale ho tum jo yun bahr-e-'ayaadat aaj ban-Than ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.