ye aab-e-sarab kuchh nahin hai
ye āb-e-sarāb kuchh nahīñ hai
juz arsa-e-ḳhvāb kuchh nahīñ hai
ḳhāmosh khaḌā hai kab se dariyā
goyā tah-e-āb kuchh nahīñ hai
raushan hai tilism-e-ḳhāna-e-shab
varna mahtāb kuchh nahīñ hai
ik maiñ ki savāl huuñ mujassam
ik tū ki javāb kuchh nahīñ hai
kyā dekhūñ varā-e-saf.ha-e-dil
bairūn-e-kitāb kuchh nahīñ hai
ye aab-e-sarab kuchh nahin hai
juz arsa-e-KHwab kuchh nahin hai
KHamosh khaDa hai kab se dariya
goya tah-e-ab kuchh nahin hai
raushan hai tilism-e-KHana-e-shab
warna mahtab kuchh nahin hai
ek main ki sawal hun mujassam
ek tu ki jawab kuchh nahin hai
kya dekhun wara-e-safha-e-dil
bairun-e-kitab kuchh nahin hai
- Book : غبار حیرانی (Pg. 77)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.