ye aalam hai to phir kyon hon hawadis se pareshan hum
ye aalam hai to phir kyon hon hawadis se pareshan hum
Shahid Siddiqui
MORE BYShahid Siddiqui
ye aalam hai to phir kyoñ hoñ havādis se pareshāñ ham
qafas ham āshiyāñ ham ḳhaar ham gul ham gulistāñ ham
hameñ duniyā kī tūfānī havāoñ meñ bhaḌakne do
nahīñ hoñge nahīñ hoñge charāġh-e-zer-e-dāmāñ ham
mazā paayā hai itnā mushkilāt-e-zindagānī meñ
ki dekhe jā.eñge tā-hashr ye ḳhvāb-e-pareshāñ ham
zamāna ham ko tūfāñ meñ phañsā kar mutma.in kyoñ ho
samajhtā hai ki haiñ parvarda-e-āġhosh-e-tūfāñ ham
baḌhe jā.eñge tanhā manzil-e-maqsūd kī jānib
uThā.eñge na hargiz qāfile vāloñ kā ehsāñ ham
hamārī be-nishānī bhī nishāñ kā hukm rakhtī hai
hameñ duniyā miTā.egī magar hoñge numāyāñ ham
ye daur-e-intihā hai is meñ fikr-e-sāz-o-sāmāñ kyā
rahe haiñ ibtidā se be-niyāz-e-sāz-o-sāmāñ ham
ye aalam hai to phir kyon hon hawadis se pareshan hum
qafas hum aashiyan hum KHar hum gul hum gulistan hum
hamein duniya ki tufani hawaon mein bhaDakne do
nahin honge nahin honge charagh-e-zer-e-daman hum
maza paya hai itna mushkilat-e-zindagani mein
ki dekhe jaenge ta-hashr ye KHwab-e-pareshan hum
zamana hum ko tufan mein phansa kar mutmain kyon ho
samajhta hai ki hain parwarda-e-aghosh-e-tufan hum
baDhe jaenge tanha manzil-e-maqsud ki jaanib
uThaenge na hargiz qafile walon ka ehsan hum
hamari be-nishani bhi nishan ka hukm rakhti hai
hamein duniya miTaegi magar honge numayan hum
ye daur-e-intiha hai is mein fikr-e-saz-o-saman kya
rahe hain ibtida se be-niyaz-e-saz-o-saman hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.