ye aarzu hai ki ab koi aarzu na rahe
ye aarzū hai ki ab koī aarzū na rahe
kisī safar kisī manzil kī justujū na rahe
ajiib dil hai isī dil kā ab taqāzā hai
kisī bhī bazm meñ ab us kī guftugū na rahe
maza tabhī hai mohabbat meñ ġharq hone kā
maiñ Duub jā.ūñ to ye ho ki tū bhī tū na rahe
batāo un kī ibādat qubūl kyā hogī
namāz-e-ishq meñ jo log bā-vazū na rahe
ḳhudā banā diyā un ko merī mohabbat ne
hamesha dil meñ rahe aur rū-ba-rū na rahe
ye aarzu hai ki ab koi aarzu na rahe
kisi safar kisi manzil ki justuju na rahe
ajib dil hai isi dil ka ab taqaza hai
kisi bhi bazm mein ab us ki guftugu na rahe
maza tabhi hai mohabbat mein gharq hone ka
main Dub jaun to ye ho ki tu bhi tu na rahe
batao un ki ibaadat qubul kya hogi
namaz-e-ishq mein jo log ba-wazu na rahe
KHuda bana diya un ko meri mohabbat ne
hamesha dil mein rahe aur ru-ba-ru na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.