ye aarzu hain hum koi aarzu karte
ye aarzū haiñ ham koī aarzū karte
asiir ḳhud ko na ham dām-e-rañg-o-bū karte
itāb-bīñ jo hamāre haiñ nukta-chīñ ham par
kahīñ jo milte to ham khul ke guftugū karte
vo aa.ina jo kare harf-gīrī-e-kirdār
jo haath aa.e to logoñ ke rū-ba-rū karte
kahīñ surāġh-e-ḳhulūs-o-vafā agar miltā
to apnī zaat ko ham vaqf-e-justujū karte
ham aaj ashk-ba-dāmāñ jo haiñ to ronā kyā
tamām-umr hī guzrī hai hā-o-hū karte
misāl-e-ā.ina rakhte jo dil meñ aks-e-jamīl
kabhī tabāh na shīshe kī aabrū karte
ḳharāb hote ḳharābe meñ aur kyā hotā
huzūr-e-sāqī agar ham subū subū karte
hameñ bhī kaash jo taufīq-e-aizdī hotī
to ham bhī kausar-o-tasnīm se vuzū karte
yaqīñ jo hotā ki hoñge halāk sidq-o-vafā
to ehtimām se marne kī aarzū karte
hameñ bhī raas jo aatī shaguftagī dil kī
to 'lais' ham bhī kabhī jur.at-e-numū karte
ye aarzu hain hum koi aarzu karte
asir KHud ko na hum dam-e-rang-o-bu karte
itab-bin jo hamare hain nukta-chin hum par
kahin jo milte to hum khul ke guftugu karte
wo aaina jo kare harf-giri-e-kirdar
jo hath aae to logon ke ru-ba-ru karte
kahin suragh-e-KHulus-o-wafa agar milta
to apni zat ko hum waqf-e-justuju karte
hum aaj ashk-ba-daman jo hain to rona kya
tamam-umr hi guzri hai ha-o-hu karte
misal-e-aina rakhte jo dil mein aks-e-jamil
kabhi tabah na shishe ki aabru karte
KHarab hote KHarabe mein aur kya hota
huzur-e-saqi agar hum subu subu karte
hamein bhi kash jo taufiq-e-aizdi hoti
to hum bhi kausar-o-tasnim se wuzu karte
yaqin jo hota ki honge halak sidq-o-wafa
to ehtimam se marne ki aarzu karte
hamein bhi ras jo aati shaguftagi dil ki
to 'lais' hum bhi kabhi jurat-e-numu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.