ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat
ye abr-o-bād ye tūfān ye añdherī raat
ab ek moḌ pe aa jā rafīq-e-rāh-e-hayāt
havā ke dosh pe mauj-e-ajal ḳhirāmāñ hai
marīz-e-dahr pe taarī haiñ naza.a ke lamhāt
hayāt ek taḳhayyul nahīñ haqīqat hai
mujhe batā.ī hai aadam ke azm ne ye baat
mire rafīq mohabbat ke din bhī ā.eñge
vahī hasīn saverā vahī kuñvārī raat
vahī gulāb ke mausam vahī sharāb ke daur
vahī sharīr ghaTā.eñ vahī bharī barsāt
sunā.ī jā.egī koyal ko ham-navā kar ke
hasīn phūloñ ko bhauñroñ kī ek raaz kī baat
ġhazal kī Daal sajā kar chaman kī dulhan ko
'salām' nazr karegā suhāg kī sauġhāt
ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat
ab ek moD pe aa ja rafiq-e-rah-e-hayat
hawa ke dosh pe mauj-e-ajal KHiraman hai
mariz-e-dahr pe tari hain naza ke lamhat
hayat ek taKHayyul nahin haqiqat hai
mujhe batai hai aadam ke azm ne ye baat
mere rafiq mohabbat ke din bhi aaenge
wahi hasin sawera wahi kunwari raat
wahi gulab ke mausam wahi sharab ke daur
wahi sharir ghaTaen wahi bhari barsat
sunai jaegi koyal ko ham-nawa kar ke
hasin phulon ko bhaunron ki ek raaz ki baat
ghazal ki Dal saja kar chaman ki dulhan ko
'salam' nazr karega suhag ki saughat
- Book : Noquush (Pg. B-365 E-379)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.