ye ada aap mein sarkar kahan thi pahle
ye adā aap meñ sarkār kahāñ thī pahle
ye nazar aap kī talvār kahāñ thī pahle
hashr-sāmāñ tirī raftār kahāñ thī pahle
terī paa.el meñ ye jhankār kahāñ thī pahle
ḳhalq yūsuf kī ḳharīdār kahāñ thī pahle
misr meñ garmī-e-bāzār kahāñ thī pahle
ye to jalvoñ kā tasarruf hai tumhāre varna
anjuman matla-e-anvār kahāñ thī pahle
faiz hai mast-nigāhī kā tirī ai saaqī
zindagī varna ye sarshār kahāñ thī
ye ada aap mein sarkar kahan thi pahle
ye nazar aap ki talwar kahan thi pahle
hashr-saman teri raftar kahan thi pahle
teri pael mein ye jhankar kahan thi pahle
KHalq yusuf ki KHaridar kahan thi pahle
misr mein garmi-e-bazar kahan thi pahle
ye to jalwon ka tasarruf hai tumhaare warna
anjuman matla-e-anwar kahan thi pahle
faiz hai mast-nigahi ka teri ai saqi
zindagi warna ye sarshaar kahan thi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 220)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.