ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
ye aish-o-tarab ke matvāle be-kār kī bāteñ karte haiñ
paa.el ke ġhamoñ kā ilm nahīñ jhankār kī bāteñ karte haiñ
nāhaq hai havas ke bandoñ ko nazzāra-e-fitrat kā da.avā
āñkhoñ meñ nahīñ hai betābī dīdār kī bāteñ karte haiñ
kahte haiñ unhīñ ko dushman-e-dil hai naam unhīñ kā nāseh bhī
vo log jo rah kar sāhil par mañjdhār kī bāteñ karte haiñ
pahuñche haiñ jo apnī manzil par un ko to nahīñ kuchh nāz-e-safar
chalne kā jinheñ maqdūr nahīñ raftār kī bāteñ karte haiñ
ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain
nahaq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa
aankhon mein nahin hai betabi didar ki baaten karte hain
kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam unhin ka naseh bhi
wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar
chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.