ye alag baat ki fursat bhi nahin milti hai
ye alag baat ki fursat bhī nahīñ miltī hai
ḳhud se mil kar hameñ rāhat bhī nahīñ miltī hai
ham to karnā bhī nahīñ chāhte dil kā saudā
aur munāsib hameñ qīmat bhī nahīñ miltī hai
'ishq vo jurm hai is jurm ko karne vaalo
is ke mujrim ko zamānat bhī nahīñ miltī hai
dauḌte bhī nahīñ shohrat ke ham aage pīchhe
aur āsānī se shohrat bhī nahīñ miltī hai
har jagah log mohazzab bhī nahīñ hote haiñ
har jagah dosto 'izzat bhī nahīñ miltī hai
ham ne maanā ki bure aap nahīñ haiñ lekin
aap meñ koī sharāfat bhī nahīñ miltī hai
aish beTe kī kamā.ī se bahū kartī hai
maañ ko ab duudh kī ujrat bhī nahīñ miltī hai
har kisī se nahīñ rakhtā huuñ maiñ rishta 'ālam'
har kisī se ye tabī'at bhī nahīñ miltī hai
ye alag baat ki fursat bhi nahin milti hai
KHud se mil kar hamein rahat bhi nahin milti hai
hum to karna bhi nahin chahte dil ka sauda
aur munasib hamein qimat bhi nahin milti hai
'ishq wo jurm hai is jurm ko karne walo
is ke mujrim ko zamanat bhi nahin milti hai
dauDte bhi nahin shohrat ke hum aage pichhe
aur aasani se shohrat bhi nahin milti hai
har jagah log mohazzab bhi nahin hote hain
har jagah dosto 'izzat bhi nahin milti hai
hum ne mana ki bure aap nahin hain lekin
aap mein koi sharafat bhi nahin milti hai
aish beTe ki kamai se bahu karti hai
man ko ab dudh ki ujrat bhi nahin milti hai
har kisi se nahin rakhta hun main rishta 'alam'
har kisi se ye tabi'at bhi nahin milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.