ye aur baat jigar laKHt-laKHt ho jata
ye aur baat jigar laḳht-laḳht ho jaatā
us ek pal ke liye dil bhī saḳht ho jaatā
huzūr-e-shah sar-e-taslīm ḳham jo kar dete
banā hai aaj jo taḳhta vo taḳht ho jaatā
nasīb kātib-e-taqdīr hī to likhtā hai
hamārā likkhā huā kaise baḳht ho jaatā
phir is ke baa'd sabhī manzileñ hamārī thiiñ
ye hausla hī safar kā jo raḳht ho jaatā
use bhī chuus ga.ī zard bail furqat kī
mohabbatoñ kā vo paudā daraḳht ho jaatā
ye aur baat jigar laKHt-laKHt ho jata
us ek pal ke liye dil bhi saKHt ho jata
huzur-e-shah sar-e-taslim KHam jo kar dete
bana hai aaj jo taKHta wo taKHt ho jata
nasib katib-e-taqdir hi to likhta hai
hamara likkha hua kaise baKHt ho jata
phir is ke ba'd sabhi manzilen hamari thin
ye hausla hi safar ka jo raKHt ho jata
use bhi chus gai zard bail furqat ki
mohabbaton ka wo pauda daraKHt ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.