ye az-KHud-raftagi bilkul nai thi
ye az-ḳhud-raftagī bilkul na.ī thī
ki tafsīr-e-hadīs-e-dil na.ī thī
sarāboñ kī sarisht-e-nā-rasā.ī
tamannā ke liye manzil na.ī thī
vo pahle bhī junūñ se āshnā the
ye garmī ḳhuun meñ shāmil na.ī thī
nayā thā dard ke rishtoñ se naata
na.ī koñpal thī āb-o-gil na.ī thī
kināre mauj se milte rahe the
magar ab mastī-e-sāhil na.ī thī
na.e jalve farozāñ is qadar the
nigāhoñ ke liye mushkil na.ī thī
vafā kī raah meñ har do qadam par
kahīñ dīvār ik haa.el na.ī thī
shikasta par the ḳhushiyoñ ke anādil
dukhoñ ke pair meñ paa.el na.ī thī
añdhere ḳhauf jis se khā rahe the
tamannāoñ kī vo jhil-mil na.ī thī
ye az-KHud-raftagi bilkul nai thi
ki tafsir-e-hadis-e-dil nai thi
sarabon ki sarisht-e-na-rasai
tamanna ke liye manzil nai thi
wo pahle bhi junun se aashna the
ye garmi KHun mein shamil nai thi
naya tha dard ke rishton se nata
nai konpal thi aab-o-gil nai thi
kinare mauj se milte rahe the
magar ab masti-e-sahil nai thi
nae jalwe farozan is qadar the
nigahon ke liye mushkil nai thi
wafa ki rah mein har do qadam par
kahin diwar ek hael nai thi
shikasta par the KHushiyon ke anadil
dukhon ke pair mein pael nai thi
andhere KHauf jis se kha rahe the
tamannaon ki wo jhil-mil nai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.