ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha
ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha
Karamat Bukhari
MORE BYKaramat Bukhari
ye bādal ġham ke mausam ke jo chhaT jaate to achchhā thā
ye phailā.e hue manzar simaT jaate to achchhā thā
ye dil tārīk hujra hai ise raushan karo aa kar
ye din tārīkiyoñ vaale jo kaT jaate to achchhā thā
maqām-e-dil kahīñ ābādiyoñ se duur hai shāyad
magar ye fāsle dil ke simaT jaate to achchhā thā
ye daur-e-habs TuuTe to ham apnā bādbāñ kholeñ
magar bād-e-muḳhālif meñ jo DaT jaate to achchhā thā
kahīñ gard-e-malāmat se kahīñ gard-e-nadāmat se
ye chehre gard-e-gardūñ se jo aT jaate to achchhā thā
ye baadal gham ke mausam ke jo chhaT jate to achchha tha
ye phailae hue manzar simaT jate to achchha tha
ye dil tarik hujra hai ise raushan karo aa kar
ye din tarikiyon wale jo kaT jate to achchha tha
maqam-e-dil kahin aabaadiyon se dur hai shayad
magar ye fasle dil ke simaT jate to achchha tha
ye daur-e-habs TuTe to hum apna baadban kholen
magar baad-e-muKHalif mein jo DaT jate to achchha tha
kahin gard-e-malamat se kahin gard-e-nadamat se
ye chehre gard-e-gardun se jo aT jate to achchha tha
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 123)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.