ye bar bar ka bohtan hum pe jhuTa hai
ye baar baar kā bohtān ham pe jhūTā hai
hamārā dil to faqat ek baar TuuTā hai
vo sanglāḳh chaTāneñ hamāre andar haiñ
hamārī aañkh kā chashma vahīñ se phūTā hai
ḳhushī ġhamī meñ barābar sharīk hote haiñ
chaman ke haal se vāqif har ek buuTā hai
gila-guzār huuñ maiñ dushmanoñ se is liye bhī
mujhe hamesha mire dostoñ ne luuTā hai
vo jaise machhlī nikaltī hai aa ke kāñTe se
hamāre haath se dāman qazā kā chhūTā hai
mile haiñ kitne hī qad-kāTh vaale logoñ se
jise bhī dekhiye andar se vo zakūTā hai
lagegī der tanāvar daraḳht banñe meñ
abhī to hijr ye parvān chaḌhtā buuTā hai
kahīñ darāḌ vo ġham kā pahāḌ TūTne kī
zamīn TuuTī hai na āsmān TuuTā hai
ye bar bar ka bohtan hum pe jhuTa hai
hamara dil to faqat ek bar TuTa hai
wo sanglaKH chaTanen hamare andar hain
hamari aankh ka chashma wahin se phuTa hai
KHushi ghami mein barabar sharik hote hain
chaman ke haal se waqif har ek buTa hai
gila-guzar hun main dushmanon se is liye bhi
mujhe hamesha mere doston ne luTa hai
wo jaise machhli nikalti hai aa ke kanTe se
hamare hath se daman qaza ka chhuTa hai
mile hain kitne hi qad-kaTh wale logon se
jise bhi dekhiye andar se wo zakuTa hai
lagegi der tanawar daraKHt banne mein
abhi to hijr ye parwan chaDhta buTa hai
kahin daraD wo gham ka pahaD TuTne ki
zamin TuTi hai na aasman TuTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.