ye baat ab ke use batana nahin paDegi
ye baat ab ke use batānā nahīñ paḌegī
ġhazal ko hargiz ġhazal sunānā nahīñ paḌegī
jo vo milā to maiñ ḳharch kar dūñgā ek pal meñ
badan kī ḳhushbū mujhe bachānā nahīñ paḌegī
tujhe byāhūñ to do qabīle qarīb hoñge
kisī ko bandūq bhī uThānā nahīñ paḌegī
maiñ apne lahje kā haath thāme nikal paḌā huuñ
kisī ko āvāz bhī lagānā nahīñ paḌegī
maiñ apnī har ik siyāh-baḳhtī ko jāntā huuñ
'za.īm' tote ko faal uThānā nahīñ paḌegī
ye baat ab ke use batana nahin paDegi
ghazal ko hargiz ghazal sunana nahin paDegi
jo wo mila to main KHarch kar dunga ek pal mein
badan ki KHushbu mujhe bachana nahin paDegi
tujhe byahun to do qabile qarib honge
kisi ko banduq bhi uThana nahin paDegi
main apne lahje ka hath thame nikal paDa hun
kisi ko aawaz bhi lagana nahin paDegi
main apni har ek siyah-baKHti ko jaanta hun
'zaim' tote ko fal uThana nahin paDegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.