ye baat to nahin hai ki main kam-sawad tha
ye baat to nahīñ hai ki maiñ kam-savād thā
TuuTā huuñ is binā pe ki maiñ kaj-nihād thā
ilzām apnī maut kā mausam pe kyuuñ dharūñ
mere badan meñ mere lahū kā fasād thā
ab maiñ bhī jal ke raakh huuñ mere jahāz bhī
kal merā naam tāriq-e-ibn-e-ziyād thā
īmāñ bhī laaj rakh na sakā mere jhuuT kī
apne ḳhudā pe kitnā mujhe e'timād thā
gahre samundaroñ meñ bhī patthar mile mujhe
thā maiñ guhar-shanās magar sañg-zād thā
tū bādbāñ-darīda safīne kā nāḳhudā
aur qulzum-e-sarāb kā maiñ sindbād thā
ab huuñ zabāñ burīda to ye soch kar huuñ chup
ye bhī suḳhan-shanās kā andāz-dād thā
ye baat to nahin hai ki main kam-sawad tha
TuTa hun is bina pe ki main kaj-nihad tha
ilzam apni maut ka mausam pe kyun dharun
mere badan mein mere lahu ka fasad tha
ab main bhi jal ke rakh hun mere jahaz bhi
kal mera nam tariq-e-ibn-e-ziyaad tha
iman bhi laj rakh na saka mere jhuT ki
apne KHuda pe kitna mujhe e'timad tha
gahre samundaron mein bhi patthar mile mujhe
tha main guhar-shanas magar sang-zad tha
tu baadban-darida safine ka naKHuda
aur qulzum-e-sarab ka main sindbaad tha
ab hun zaban burida to ye soch kar hun chup
ye bhi suKHan-shanas ka andaz-dad tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.