ye baat tumko jachi nahin hai
ye baat tum ko jachī nahīñ hai
ḳhudā hai vāhid ka.ī nahīñ hai
ise na chheḌo abhī to is kī
kahānī āḳhir huī nahīñ hai
kabhī hañsānā kabhī rulānā
tirī sharārat ga.ī nahīñ hai
milegī manzil hameñ bhī lekin
hamāre andar sa.ī nahīñ hai
jalā hai ghar qatl bhī huā hai
kahānī 'at.har' na.ī nahīñ hai
ye baat tum ko jachi nahin hai
KHuda hai wahid kai nahin hai
ise na chheDo abhi to is ki
kahani aaKHir hui nahin hai
kabhi hansana kabhi rulana
teri shararat gai nahin hai
milegi manzil hamein bhi lekin
hamare andar sai nahin hai
jala hai ghar qatl bhi hua hai
kahani 'athar' nai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.