ye baat waqt se pahle kahan samajhte hain
ye baat vaqt se pahle kahāñ samajhte haiñ
ham ik sarā.e ko apnā makāñ samajhte haiñ
yaqīñ kisī ko nahīñ apnī be-sabātī kā
sab apne aap ko shāh-e-zamāñ samajhte haiñ
bas ik uḌaan bharī hai abhī ḳhalāoñ tak
isī ko ahl-e-zamīñ āsmāñ samajhte haiñ
hameñ bhī khīñchtī hai is kī har kashish lekin
ye ḳhāk-dāñ hai ise ḳhāk-dāñ samajhte haiñ
ye log itne fasurda isī liye to nahīñ
ki dūsroñ ko bahut shādmāñ samajhte haiñ
ḳhudā unheñ bhī ho taufīq is 'ibādat kī
mohabbatoñ ko jo kār-e-ziyāñ samajhte haiñ
ye baat waqt se pahle kahan samajhte hain
hum ek sarae ko apna makan samajhte hain
yaqin kisi ko nahin apni be-sabaati ka
sab apne aap ko shah-e-zaman samajhte hain
bas ek uDan bhari hai abhi KHalaon tak
isi ko ahl-e-zamin aasman samajhte hain
hamein bhi khinchti hai is ki har kashish lekin
ye KHak-dan hai ise KHak-dan samajhte hain
ye log itne fasurda isi liye to nahin
ki dusron ko bahut shadman samajhte hain
KHuda unhen bhi ho taufiq is 'ibaadat ki
mohabbaton ko jo kar-e-ziyan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.