ye baw kya phiri ki teri laT palaT gai
ye baav kyā phirī ki tirī laT palaT ga.ī
nāgin kī bhāñt Das ke mirā dil ulaT ga.ī
bekal huā huuñ ab to tirī zulf meñ sajan
shab hai darāz niiñd hamārī uchaT ga.ī
nādān tū niiñ ġhair kuuñ kyuuñ darmiyāñ diyā
ulfat tirī kī Dor usī māñjhe siiñ kaT ga.ī
mujh bāvle kā shor uThā dekh kar ke fauj
bādal kī bhāñt Dar siiñ raqībāñ kī phaT ga.ī
toḌī priit ham siiñ piyāre ne 'ābrū'
laagī to thī ye bel pa āḳhir ukhaT ga.ī
ye baw kya phiri ki teri laT palaT gai
nagin ki bhant Das ke mera dil ulaT gai
bekal hua hun ab to teri zulf mein sajan
shab hai daraaz nind hamari uchaT gai
nadan tu nin ghair kun kyun darmiyan diya
ulfat teri ki Dor usi manjhe sin kaT gai
mujh bawle ka shor uTha dekh kar ke fauj
baadal ki bhant Dar sin raqiban ki phaT gai
toDi prit hum sin piyare ne 'abru'
lagi to thi ye bel pa aaKHir ukhaT gai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 260)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.