ye badalte hue manzar nahin dekhe jate
ye badalte hue manzar nahīñ dekhe jaate
dast-e-ahbāb meñ ḳhanjar nahīñ dekhe jaate
dekhe jaate haiñ faqat fat.h-e-mubīñ ke sapne
jañg meñ kaTte hue sar nahīñ dekhe jaate
ye mohabbat hai kisī se bhī ye ho saktī hai
is meñ tañg-dast-o-tavañgar nahīñ dekhe jaate
apne miTTī ke diyoñ par hī qanā.at kar lo
roz sūraj ke ye tevar nahīñ dekhe jaate
aap kā ghar hai ye āñkheñ to inhīñ meñ rahiye
aap in āñkhoñ se bāhar nahīñ dekhe jaate
ye badalte hue manzar nahin dekhe jate
dast-e-ahbab mein KHanjar nahin dekhe jate
dekhe jate hain faqat fath-e-mubin ke sapne
jang mein kaTte hue sar nahin dekhe jate
ye mohabbat hai kisi se bhi ye ho sakti hai
is mein tang-dast-o-tawangar nahin dekhe jate
apne miTTi ke diyon par hi qanaat kar lo
roz suraj ke ye tewar nahin dekhe jate
aap ka ghar hai ye aankhen to inhin mein rahiye
aap in aankhon se bahar nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.